Likhe jo khat tujhe woh teri yaad mei.N
Hazaaro.n rang ke nazaare ban gaye (2)
Sa.Nveraa jab huaa to phool ban gaye
Jo raat aayi to sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe
Koyi nagma kahii.N goonjaa kahaa dil ne yeh tu aayi
Kahin chatki kali koyi main yeh samjha, tu sharmaayi
Koi khushboo kahi.N bikrii lagaa yeh zulf lehraayi
Likhe jo khat tujhe woh teri yaad mei.N
Hazaaro.n rang ke nazaare ban gaye
Sa.Nveraa jab huaa to phool ban gaye
Jo raat aayi to sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe
Fiza rangeen, adaa rangeen, yeh ithlaana, yeh sharmaana
Yeh angaDaaii, yeh tanhaayii yeh tarsa kar chale jaanaa
Bana de ga nahii.N kisko jawaa.N jadoo yeh deewaanaa?
Likhe jo khat tujhe woh teri yaad mei.N
Hazaaro.n rang ke nazaare ban gaye
Sa.Nveraa jab huaa to phool ban gaye
Jo raat aayi to sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe
Jahaa.N tu hai vahaa.N main hoo.N, mere dil ki tu dhaDhkan hai
Musaafir mai.N tu manzil hai, main pyaasaa hoon tu saawan hai
Meri duniya yeh nazare.N hai.N, meri jannat yeh daaman hai
Likhe jo khat tujhe woh teri yaad mei.N
Hazaaro.n rang ke nazaare ban gaye
Sa.Nveraa jab huaa to phool ban gaye
Jo raat aayi to sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe